اردو हिंदी
Rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun | Shaahi Shayari
rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun

Ghazal

Rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun

Kumar Vishwas

;

rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun
hai andhere mein ujala to ujala dekhun

aaina rakh de mere samne aaKHir main bhi
kaisa lagta hai tera chahne wala dekhun

kal talak wo jo mere sar ki qasam khata tha
aaj sar us ne mera kaise uchhaala dekhun

mujh se mazi mera kal raat simaT kar bola
kis tarah main ne yahan KHud ko sambhaala dekhun

jis ke aangan se khule the mere sare raste
us haweli pe bhala kaise main tala dekhun