rang baaten karen aur baaton se KHushbu aae
dard phulon ki tarah mahke agar tu aae
bhig jati hain is ummid pe aankhen har sham
shayad is raat wo mahtab lab-e-ju aae
hum teri yaad se katra ke guzar jate magar
rah mein phulon ke lab sayon ke gesu aae
wahi lab-tishnagi apni wahi targhib-e-sarab
dasht-e-malum ki hum aaKHiri had chhu aae
maslahat-koshi-e-ahbab se dam ghuTta hai
kisi jaanib se koi nara-e-yahu aae
sine viran hue anjuman aabaad rahi
kitne gul-chehra gae kitne pari-ru aae
aazmaish ki ghaDi se guzar aae to 'ziya'
jashn-e-gham jari hua aankhon mein aansu aae
Ghazal
Rang baaten karen aur baaton se KHushbu aae
Zia Jalandhari