rang aur rup ke pardip mein khone de mujhe
KHud ko chahat ki chaDhi rau mein Dubone de mujhe
tu agar KHush hai to ja qafiya-paimai kar
sher ko ruh ki laDiyon mein pirone de mujhe
prit ka ant bichhaDna hai magar aur abhi
apni bahon ke kanwal-kund mein sone de mujhe
chum kar is ke madhur honTon ki ras-want lawen
zehn ko nashshon bhari mai se bhigone de mujhe
kashT wajib na sahi kaliyan to kanTe hi qubul
nai rut mein nae ehsas ko bone de mujhe
tera rishta hai falak se to zamin ko na ujaD
narm miTTi ki mahak man mein samone de mujhe
'hafiz'-o-'mir' se nisbat bhi baja lekin ab
KHitta-e-pak ki is KHak ka hone de mujhe
yaad aa jae na jaane use bachpan ki lagan
isi jangal mein isi jhil pe rone de mujhe
husn takrim sahi chahatin tazim sahi
hath ab aap shafaq-tab mein dhone de mujhe
Ghazal
Rang aur rup ke pardip mein khone de mujhe
Nasir Shahzad