rang aur nur ki tamsil se hoga ki nahin
shab ka matam meri qindil se hoga ki nahin
dekhna ye hai ki jangal ko chalane ke liye
mashwara richh se aur chil se hoga ki nahin
aayat-e-tira-shabi paDhte hue umr hui
samna ab bhi azazil se hoga ki nahin
zard miTTi mein utarti hui ai qaus-e-quzah
KHwab paida teri tarsil se hoga ki nahin
os ke phul mahakte hain teri aaankhon mein
in ka rishta bhi kisi nil se hoga ki nahin
jab suKHan karne lagunga main tujhe asr-e-rawan
istiara koi injil se hoga ki nahin
Ghazal
Rang aur nur ki tamsil se hoga ki nahin
Daniyal Tareer