rang alfaz ka alfaz se gahra chahun
baat karne ke liye apna hi lahja chahun
hai thakan aisi mera par utarna hai muhaal
tishnagi wo hai ki bahta hua dariya chahun
kam-nazar hai jo kare teri sataish mahdud
tu wo shahkar hai main jis ko sarapa chahun
tujh pe raushan mere haalat ki zanjiren hain
rok lena jo kabhi tujh se bichhaDna chahun
muflisi lakh sahi daulat-e-nayab hai ye
main tere gham ke ewaz kyun gham-e-duniya chahun
gham hai sannaTon mein qadmon ke nishan tak 'rashid'
wo andhera hai ki diwaron se rasta chahun

Ghazal
Rang alfaz ka alfaz se gahra chahun
Mumtaz Rashid