iram ke nur se tera makan jalae gae
charagh hum the kahan ke kahan jalae gae
hamin ko us ne payambar kiya mashiat ka
hamin se raaz-e-mashiat magar chhupae gae
kabhi to hum pe khulenge KHushi ke darwaze
isi umid pe hum tere gham uThae gae
jo kal talak rahe aasi KHitab-e-mahfil mein
wo log aaj tere nam se bulae gae
ugal rahe the jo lawa gham-e-tassub ka
hamare KHun se wo aatish-fishan bujhae gae
rah-e-hayat mein bhaDki hai jab nifaq ki aag
magar is aag ka luqma hamin banae gae
rafu kiya kiye chaak-e-wafa-o-tar-e-qaba
wo ruThte rahe aur hum unhen manae gae

Ghazal
Iram ke nur se tera makan jalae gae
Ram Awtar Gupta Muztar