rakkhi hargiz na tere rakh ne ruKH-e-badr ki qadr
khoi kakul ne bhi aaKHir ko shab-e-qadr ki qadr
izzat-o-qadr ki us gul se tawaqqoa hai abas
wan na izzat ki kuchh izzat hai na kuchh qadr ki qadr
rasti KHwar hai us chashm-e-fusun-parwar se
han magar manzilat-e-makr hai aur uzr ki qadr
mai-paraston mein hai yun saghar-o-mina ka waqar
jaise islam mein ho mohtasib o sadr ki qadr
kafsh-bardari se us mahr ki chamka hai 'nazir'
warna kya KHak thi is zarra-e-be-qadr ki qadr
Ghazal
Rakkhi hargiz na tere rakh ne ruKH-e-badr ki qadr
Nazeer Akbarabadi