rakkhe har ek qadam pe jo mushkil ki aagahi
milti hai us ko rah se manzil ki aagahi
sikha hai aadmi ne kai tajrabon ke baad
tufan se hi milti hai sahil ki aagahi
us ka KHuda se rabta hi kuchh ajib hai
duniya kahan samajhti hai sail ki aagahi
nazron ka eatibar to hai phir bhi mera dil
hai ek sahifa jis mein masail ki aagahi
din-raat jis ke pyar mein rahti hun be-qarar
us ko nahin hai kyun dil-e-bismil ki aagahi
yaadon ke ek hujum mein rah kar pata chala
tanhai bhi to rakhti hai mahfil ki aagahi
KHanjar ka eatibar nahin wo to saf hai
lekin milegi KHun se qatil ki aagahi
mashq-e-suKHan 'sabila' nikhaaregi fan ko aur
matlub hai kuchh aur abhi dil ki aagahi
Ghazal
Rakkhe har ek qadam pe jo mushkil ki aagahi
Sabeela Inam Siddiqui