rakhte hain dushmani bhi jatate hain pyar bhi
hain kaise gham-gusar mere gham-gusar bhi
afsurdagi bhi ruKH pe hai un ke nikhaar bhi
hai aaj gulsitan mein KHizan bhi bahaar bhi
pita hun main sharab-e-mohabbat to kya hua
pita hai ye sharab to parwardigar bhi
milne ki hai KHushi to bichhaDne ka hai malal
dil mutmain bhi aap se hai be-qarar bhi
aa kar wo meri lash pe ye kah ke ro diye
tum se hua na aaj mera intizar bhi
ai dost baad-e-marg bhi main hun shikasta-haal
dil ki tarah se TuTa hua hai mazar bhi
'purnam' ye sab karam hai 'qamar' ka jo aaj-kal
hota hai ahl-e-fan mein tumhaara shumar bhi
Ghazal
Rakhte hain dushmani bhi jatate hain pyar bhi
Purnam Allahabadi