اردو हिंदी
Rakhta nahin hai dasht sarokar aab se | Shaahi Shayari
rakhta nahin hai dasht sarokar aab se

Ghazal

Rakhta nahin hai dasht sarokar aab se

Ghulam Murtaza Rahi

;

rakhta nahin hai dasht sarokar aab se
bahlae jate hain yahan pyase sarab se

din mein bhi ghar ujale se mahrum hai to hai
kirnon ka kya sawal karun aaftab se

bilkul durust hote hue fail ho gaya
main ne jawab naql kiya tha kitab se

wo sal ho ki mah ho din ho ki ho ghaDi
baqi nahin bachunga kisi ke hisab se

har shai par ek uchaTti nazar Dalta chalun
be-kar hoga mera utarna rikab se

tarmim hazf aur izafe ke sath sath
ye kulliyat pur hai mere intiKHab se