rakhta hun main haq par nazar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
hushyar hun ya be-KHabar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
qismat muqaddar bujh kar ghaflat mein aa kar hirs se
phir kya hai phirna dar-ba-dar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
juz masiyat ke kuchh nahin hai kaam mujh aasi ke tain
har roz o har sham o sahar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
kuchh nek o bad kahne ka ab KHatra nahin hai KHalq ka
yaksan kiya naf o zarar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
hai chaar din ki zindagi KHush rah ke aaKHir ke tain
duniya se jaana hai guzar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
'hatim' tawaqqoa chhoD kar aalam mein ta shah o gada
aa kar laga haidar ke dar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
Ghazal
Rakhta hun main haq par nazar koi kuchh kaho koi kuchh kaho
Shaikh Zahuruddin Hatim