اردو हिंदी
Rakhta hai sulh sab se dil us ka pa mujhse jang | Shaahi Shayari
rakhta hai sulh sab se dil us ka pa mujhse jang

Ghazal

Rakhta hai sulh sab se dil us ka pa mujhse jang

Meer Hasan

;

rakhta hai sulh sab se dil us ka pa mujh se jang
ghairon ke haq mein mom hai aur mere haq mein sang

kaisa visal kis ka firaq aur kahan ka ishq
thi aalam-e-jawani ki bas ye bhi ek tarang

kya tab milegi aah mujhe aarzu-e-dil
mar jaegi taDap ke mere ji ki jab umang

hairan main apne haal pe chun aaina nahin
aalam ke munh ko dekh ke main rah gaya hun dang

aata hai kya nazar use shoale mein shama ke
deta hai jaan-bujh ke kyun apna ji patang

leta tha nam ghair nikal aaya mera nam
aaKHir jhalak gaya hai mohabbat ka rang-Dhang

waqif nahin nishan se main us yar ke 'hasan'
jis ke liye uDa diya sab apna nam-o-nang