rakhta hai go qadim se buniyaad aagara
akbar ke nam se hua aabaad aagara
yan ke khanDar na aur jagah ki imaraten
yaro ajab maqam hai dil-shad aagara
shaddad zar laga na banata bahisht ko
gar jaanta ki howega aabaad aagara
toDe koi qile ko koi luTe shahr ko
ab kis se apni mange bhala dad aagara
ab to zara sa ganw hai beTi na de ise
lagta tha warna chin ka damad aagara
yak-bargi to ab mujhe ya-rab tu phir basa
karta hai ab KHuda se ye fariyaad aagara
ek KHub-ru nahin hai yahan warna ek din
tha rashk-e-husn-e-balaKH-wa-naushad aagara
hargiz watan ki yaad na aawe use kabhi
jo kar ke apni jaan ko kare shad aagara
is mein sada KHushi se raha hai tera 'nazir'
ya-rab hamesha rakhiyo to aabaad aagara
Ghazal
Rakhta hai go qadim se buniyaad aagara
Nazeer Akbarabadi