rakhna KHam-e-gesu mein ya dil ko riha karna
kuchh kah to sahi zalim aaKHir tujhe kya karna
kya tum se ziyaada hai duniya mein hasin koi
iman se kah dena insaf zara karna
sahni bhi jafa un ki karni bhi wafa un se
un ki bhi KHushi karni dil ka bhi kaha karna
bosa bhi mujhe dena honTon mein bhi kuchh kahna
jine ki dawa dena marne ki dua karna
tirchhi chitwan ne lakhon hi kiye bismil
ai turk tera nawak kya jaane KHata karna
be-dad ka ab shikwa beja hai 'nasim' un se
tha tum ko mohabbat ka izhaar hi kya karna
Ghazal
Rakhna KHam-e-gesu mein ya dil ko riha karna
Naseem Bharat Puri