rakhna hai to phulon ko tu rakh le nigahon mein
KHushbu to musafir hai kho jaegi rahon mein
kyun meri mohabbat se barham ho zamin walo
ek aur gunah rakh lo duniya ke gunahon mein
kaifiyat-e-mai dil ka darman na hui lekin
rangin to rahi duniya kuchh der nigahon mein
kanTon se guzar jaana dushwar nahin lekin
kanTe hi nahin yaro kaliyan bhi hain rahon mein
parda ho to parda ho is parde ko kya kahiye
chhupte hain nigahon se rahte hain nigahon mein
yaran-e-rah-e-ghurbat kya ho gae kya kahiye
kuchh so gae manzil par kuchh kho gae rahon mein
guzri hui sadiyon ko aaghaz-e-safar samjho
mazi abhi kam-sin hai farda ki nigahon mein
rangin hai 'shamim' ab tak pairahan-e-jaan apna
hum raat guzar aae kis KHwab ki banhon mein

Ghazal
Rakhna hai to phulon ko tu rakh le nigahon mein
Shamim Karhani