rakhi na gai dil mein koi baat chhupa kar
diwar se Thahra tha koi kan laga kar
tu KHwab hai ya koi haqiqat nahin malum
karti hun main tasdiq abhi batti jala kar
mail thi main KHud us ki taraf kya pata us ko
wo mujh se muKHatab hua rumal gira kar
milne ke liye kaisi jagah DhunDh li tum ne
main chhu bhi nahin sakti tumhein hath baDha kar
guzri kisi ki raat gham-e-hijr mein rote
kamra kisi ne rakkha tha phulon se saja kar
phir koi naya kaam nikal aaya tha kam-baKHt
baiThi bhi nahin thi main abhi khana bana kar
beTe ne kaha man mujhe matlab bhi batao
uThne hi lagi thi use quran paDha kar
Ghazal
Rakhi na gai dil mein koi baat chhupa kar
zahraa Qarar