اردو हिंदी
Rakhen hain ji mein magar mujhse bad-gumani aap | Shaahi Shayari
rakhen hain ji mein magar mujhse bad-gumani aap

Ghazal

Rakhen hain ji mein magar mujhse bad-gumani aap

Mushafi Ghulam Hamdani

;

rakhen hain ji mein magar mujh se bad-gumani aap
jo mere hath se pite nahin hain pani aap

ghaDi ghaDi na karen hum pe mehrbani aap
ki husn rakhte hain aur aalam-e-jawani aap

main bosa le le ke ruKH ka uTha diya parda
isi ghurur pe karte the lan-tarani aap

main apna haal jo kahne laga to yun bola
sune hai kaun kaha kijiye kahani aap

main be-gunah saza-war galiyon ka nahin
na mere sath karen itni bad-zabani aap

musawwiron ne qalam rakh diye hain hathon se
banawen aaine mein apna naqsh-e-sani aap

wafa ki is se talab kar na hargiz ai nadan
ki bewafa hai tilism-e-jahan-e-fani aap

sharab wasl ka kis ki piya hai ye saghar
KHumar-e-shab se jo rakhte hain sargirani aap

ye bewafa bhi miyan-'mushafi' kisi ke hue
buton pe karte ho kyun itni jaan-fishani aap