rakhe hai rang kuchh saqi sharab-e-nab aatish ka
muqattar kya kiya le kar gul-e-shadab aatish ka
mere ye garm aansu ponchh mat dast-e-nigarin se
ki un aankhon se rahta hai rawan sailab aatish ka
tah-e-mizhgan nihan rakhte hain hum laKHt-e-dil-e-sozan
yahan KHashak mein rakkha hai aKHgar dab aatish ka
nigah-e-garm se us ki dil-e-betab ru-kash hai
harif aaKHir hua ye para-e-simab aatish ka
jo sail-e-ashk o aah-e-garm ko Tuk dijiye ruKHsat
nishan dariya ka gum ho nam ho nayab aatish ka
shakeb o tab o hosh o sabr soz-e-gham se sab sulga
hua toama gharaz apna tamam asbab aatish ka
araq us shola-gun aariz pe kya suna-e-ilahi hai
nahin dekha hai hum ne rabt baham aab aatish ka
Ghazal
Rakhe hai rang kuchh saqi sharab-e-nab aatish ka
Mamnoon Nizamuddin