rakha sar par jo aaya yar ka KHat
gaya sab dard-e-sar kiya tha dawa KHat
diya KHat aur hun qasid ke pichhe
hua tasir mein kya kahruba KHat
wahin qasid ke munh par phenk mara
diya qasid ne jab ja kar mera KHat
hai lazim haal KHairiyyat ka likhna
kabhi to bhej o na-ashna KHat
raha mamnun kaghaz-saz ka main
suna dega use sab majra KHat
pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat
rahi hasrat ye sari umr 'bahram'
na mujh ko yar ne hargiz likha KHat
Ghazal
Rakha sar par jo aaya yar ka KHat
Bahram ji