اردو हिंदी
Rakha pa jahan mein nagara zamin par | Shaahi Shayari
rakha pa jahan mein nagara zamin par

Ghazal

Rakha pa jahan mein nagara zamin par

Hasrat Azimabadi

;

rakha pa jahan mein nagara zamin par
bahut sar ko wan hum ne mara zamin par

junun josh mare hai diwar-o-dar se
hua kis pari ka guzara zamin par

nahin hai ye aah-e-falak sa ki hum ne
alam shor-e-sauda ka gaDha zamin par

qadam jis jagah rakkha us sang-dil ne
na ho wan ba-juz sang-e-KHara zamin par

nazar se teri jis ne hum ko giraya
falak se uTha kar ke mara zamin par

tu ru-e-zamin dekh le sair ho kar
na hoga guzar phir dobara zamin par

tere naqsh-e-pa ko kahe apna ham-sar
nahin hai ye munh to hamara zamin par

wo zohra-jabin mehrban howe 'hasrat'
kahan hai ye apna sitara zamin par