rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar
dost hote hain, har ek yar nahin hota yar
do ghaDi baiTho mere pas, kaho kaisi ho
do ghaDi baiThne se pyar nahin hota yar
yar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai
jaan se yun hi koi bezar nahin hota yar
ruh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain
lafz pairaya-e-izhaar nahin hota yar
naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren
ek mohabbat hi ka aazar nahin hota yar
KHush-dili aur hai aur ishq ka aazar kuchh aur
pyar ho jae to iqrar nahin hota yar
laDkiyan lafz ki taswir chhupa leti hain
un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yar
aadmi ishq mein bhi KHud se nahin ghaT sakta
aadmi saya-e-diwar nahin hota yar!!
gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftar nahin hota yar
yahi hum aap hain hasti ki kahani, is mein
koi afsanwi kirdar nahin hota yar
Ghazal
Rakh-rakhaw mein koi KHwar nahin hota yar
Iftikhar Mughal