rahti hai saba jaise KHushbu ke taaqub mein
kuchh yun hi zamana hai urdu ke taaqub mein
lauTe nahin ab tak wo barson hue nikle the
pazeb ki chahat mein ghungru ke taaqub mein
ek jadu ki Dibiya hai jo un ka khilauna hai
bachche nahin rahte ab jugnu ke taaqub mein
masum si aankhon se ek bund hi Tapki thi
baadal umaD aae hain aansu ke taaqub mein
naqqalon ke pichhe kyun phirte ho hunar walo
dekha hai kya sagar ko sarju ke taaqub mein
afkar ke phulon ki wadi hai hadaf 'arif'
har shair-e-urdu hai KHushbu ke taaqub mein
Ghazal
Rahti hai saba jaise KHushbu ke taaqub mein
Arif Ansari