rahta hai zulf-e-yar mere man se man laga
ai nag tere hath ye kya KHub man laga
dekha hai jin ne ru-e-dil-afroz ko tere
be-shak nazar mein bagh-e-iram us ki ban laga
sarsabz nit rakhenge unhen mere ashk o aah
ai nau-bahaar-e-husn jo chahe chaman laga
sina sipar kar aaunga kuche mein main tere
garche raqib baiThe hain wan tan se tan laga
kya faeda hai qissa-e-rizwan se tujhe
koi shama-ru pari sate tu bhi lagan laga
'agah' KHar KHar judai se hai hazin
yak-bar tu gale se use gul-badan laga
Ghazal
Rahta hai zulf-e-yar mere man se man laga
Baqar Agah Vellori