اردو हिंदी
Rahta hai kab ek rawish par aasman | Shaahi Shayari
rahta hai kab ek rawish par aasman

Ghazal

Rahta hai kab ek rawish par aasman

Sardar Genda Singh Mashriqi

;

rahta hai kab ek rawish par aasman
khata hai chakkar pe chakkar aasman

kar diya barbaad ek dam mein mujhe
kya kiya tu ne sitamgar aasman

aah karte hain hazaron dil-figar
par na TuTa tera KHanjar aasman

raund Dalun panw ke niche tujhe
dil mein aata hai jafa-gar aasman

raat ko barsata hai patthar agar
din ko barsata hai aKHgar aasman