rahta hai ek har us sa qadmon ke sath sath
chalta hai dasht dasht-nawardon ke sath sath
hathon ka rabt harf-e-KHafi se ajib hai
hilte hain hath raaz ki baaton ke sath sath
uThti hui fasil-e-fughan hadd-e-shahr par
galiyon ki chup qadim makanon ke sath sath
suraj ki aab zahar hai rangon ki aab ko
hai dur tak buKHar sa baghon ke sath sath
uryan hua hai mah shab-e-abr-o-baad mein
jaise safed raushni ghaaron ke sath sath
aaya hun main 'munir' kisi kaam ke liye
rahta hai ek KHayal sa KHwabon ke sath sath
Ghazal
Rahta hai ek har us sa qadmon ke sath sath
Muneer Niyazi