rahnumaon ki baat karte ho
parsaon ki baat karte ho
jo uDa len saron se aanchal bhi
un hawaon ki baat karte ho
jal rahi hai zamin ki kokh magar
tum KHalaon ki baat karte ho
mujh ko mehnat ka bhi sila na mila
tum duaon ki baat karte ho
pahle insan ko zahr dete ho
phir dawaon ki baat karte ho
meri basti mein bhuk palti hai
tum balaon ki baat karte ho
mar Dala wafa-shiaron ne
be-wafaon ki baat karte ho
kitne firaun miT gae aa kar
kin KHudaon ki baat karte ho

Ghazal
Rahnumaon ki baat karte ho
Naqqash Abidi