rahne walon ko tere kuche ke ye kya ho gaya
mere aate hi yahan hangama barpa ho gaya
tera aana tha tasawwur mein tamasha shama-ru
mere dil par raat parwanon ka balwa ho gaya
zabt karta hun wale is par bhi hai ye josh-e-ashk
gir paDa jo aankh se qatra wo dariya ho gaya
is qadar mana bura main ne adu ka sun ke nam
aaKHir us ki aisi baaton ka tamasha ho gaya
kya ghazab hai iltija par maut bhi aati nahin
talKH-kaami par hamari zahr miTha ho gaya
dekh yun KHana-KHarabi ghair wan qabiz hua
jis ke ghar ko hum ye samjhe the ki apna ho gaya
Ghazal
Rahne walon ko tere kuche ke ye kya ho gaya
Taskeen Dehlavi