rahna tum chahe jahan KHabron mein aate rahna
hum ko ehsas-e-judai se bachate rahna
KHud-gazida hun baDa zahr hai mere andar
is ka tiryaq hai raaton ko jagate rahna
muddaton baad jo dekhoge to Dar jaoge
apne ko aaina har roz dikhate rahna
KHud-farebi se hasin-tar nahin koi jazba
KHud jo rahna hai to ye dhoka bhi khate rahna
ye to malum hai marne pe milegi ujrat
kar-e-fankar hai taswir banate rahna
apni na-ahli pe qatil ko na taish aa jae
ochhe zaKHmon ko zara us se chhupate rahna
haarne jitne se kuchh nahin hota 'wamiq'
khel har sans pe hai danw lagate rahna

Ghazal
Rahna tum chahe jahan KHabron mein aate rahna
Wamiq Jaunpuri