rahmat teri ai naqa-kash-e-mahmil-e-haji
chahe to kare rahib-e-but-KHana ko naji
kis din na uTha dil se mere shor-e-parastish
kis raat yahan kabe mein naqus na baji
main aap kamar-basta hun ab qatl pe apne
bin yar hai jine se mera bas ki KHafa ji
ek sine mein dil rakhte hain hum so bhi wo kya dil
jo roz rahe lashkar-e-sultan ka KHaraji
tum shab mujhe dete hue gali to gae ho
main bhi kisi din tum se samajh lunga bhala ji
shisha mai-e-gulgun ka hai ya rang-e-shafaq se
rang apne dikhata hai mujhe charKH-e-zujai
ai 'mushafi' main afsah-e-shirin-suKHanan hun
kab mujh se taraf ho sake hai har koi paji
Ghazal
Rahmat teri ai naqa-kash-e-mahmil-e-haji
Mushafi Ghulam Hamdani