rahm ai gham-e-jaanan baat aa gai yan tak
dasht-e-gardish-e-dauran aur mere gareban tak
ek hamin lagaenge KHar-o-KHas ko sine se
warna sab chaman mein hain mausam-e-bahaaran tak
meri dastak-e-wahshat aaj rok lo warna
fasla bahut kam hai hath se gareban tak
hai 'shamim' azal hi se silsila mohabbat ka
halqa-e-salasil se gesu-e-pareshan tak

Ghazal
Rahm ai gham-e-jaanan baat aa gai yan tak
Shamim Jaipuri