اردو हिंदी
Rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho | Shaahi Shayari
rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho

Ghazal

Rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho

Mirza Ghalib

;

rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho
ham-suKHan koi na ho aur ham-zaban koi na ho

To go and live in such a place where no one else should be
No one there to share one's thoughts no soul for company

be-dar-o-diwar sa ek ghar banaya chahiye
koi ham-saya na ho aur pasban koi na ho

One should build an open house, no walls nor doors to see
No neighbours to surround nor guards for security

paDiye gar bimar to koi na ho timardar
aur agar mar jaiye to nauha-KHwan koi na ho

If perchance one were to ail no one to remedy
And if one were to die no one to weep for thee