rahin-e-as rahi hai na mahw-e-yas rahi
bichhaD ke tujh se meri zist bad-hawas rahi
jo rind aaya teri bazm mein hua sairab
wo tishna-kaam raha main ki jis ko pyas rahi
teri nigah-e-karam ne wo gul khilae hain
chaman mein fasl-e-bahaaran udas udas rahi
har ek lahza meri dhaDkanon mein chubhti thi
ajib chiz mere dil ke aas-pas rahi
mai-e-nashat teri sadgi ne chhalka di
nigah-e-ishq ko kya jaane kis ki pyas rahi
Ghazal
Rahin-e-as rahi hai na mahw-e-yas rahi
Bekal Utsahi