rahi hai yun hi nadamat mujhe muqaddar se
guzar rahi hai saba jis tarah mere ghar se
chaDha hai shauq mujhe zabt aazmane ka
likhun fasana koi aaine pe patthar se
musafiron sa kabhi jab main shahr se guzra
to raston mein kai raste the banjar se
tumhaare gham ne Duboya hai par pukaro to
main lauT aaun usi pal kisi samundar se
maze ki ThanD gharibon ki aastin mein hai
tum aa ke dekh lo foot-path par bhi bistar se

Ghazal
Rahi hai yun hi nadamat mujhe muqaddar se
Vijay Sharma Arsh