rahi agarche nigaron ki mehrbani bhi
bahut KHarab kaTi raat bhi jawani bhi
tujhe ganwa ke tere waston ka kya karte
isi liye to na rakkhi koi nishani bhi
dil-o-nigah ke raston mein kaun hail hai
ki hum pe band hue raushni bhi pani bhi
agar labon se na nikle agar dilon mein rahe
bahut nai hai abhi baat ek purani bhi
azab-e-sohbat-e-na-jins ke shikar hain hum
KHuda zamin pe hamein de hamara sani bhi

Ghazal
Rahi agarche nigaron ki mehrbani bhi
Asad Badayuni