rahguzar ho ya musafir nind jis ko aae hai
gard ki maili si chadar oDh ke so jae hai
qurbaten hi qurbaten hain duriyan hi duriyan
aarzu jadu ke sahra mein mujhe dauDaye hai
waqt ke hathon zamir-e-shahr bhi mara gaya
rafta rafta mauj-e-KHun sar se guzarti jae hai
meri aashufta-sari wajh-e-shanasai hui
mujh se milne roz koi hadisa aa jae hai
yun to ek harf-e-tasalli bhi baDi shai hai magar
aisa lagta hai wafa be-abru ho jae hai
zindagi ki talKHiyan deti hain KHwabon ko janam
tishnagi sahra mein dariya ka saman dikhlae hai
kis tarah dast-e-hunar mein bolne lagte hain rang
madrase walon ko 'taban' kaun samjha pae hai

Ghazal
Rahguzar ho ya musafir nind jis ko aae hai
Taban Ghulam Rabbani