rahe wo zikr jo lab-ha-e-atishin se chale
chale wo dur jo raftar-e-satgin se chale
hazaron sal safar kar ke phir wahin pahunche
bahut zamana hua tha hamein zamin se chale
KHirad bani rahi zanjir-e-pa-e-shauq magar
junun ke jitne bhi hain silsile hamin se chale
furaat jit ke bhi tishna-lab rahi ghairat
hazar tir-e-sitam zulm ki kamin se chale
zamana ek hi raste pe la ke chhoDega
rawan hai ek hi dhaara koi kahin se chale
guman-o-shak ke do-rahe pe hum se aa ke mile
wo qafile jo kisi manzil-e-yaqin se chale
hamein shikast-e-harifan ka bhi malal raha
shikasta-dil jo hum us bazm-e-dil-nashin se chale
tamam gumrahiyan dair aur haram mein palin
tamam silsila-e-kufr ahl-e-din se chale
'wahid' sail-e-qayamat ne rah roki thi
jo ban ke ashk hum us chashm-e-naznin se chale
Ghazal
Rahe wo zikr jo lab-ha-e-atishin se chale
Waheed Akhtar