اردو हिंदी
Rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza | Shaahi Shayari
rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza

Ghazal

Rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza

Mah Laqa Chanda

;

rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza
gul-afshan hai karam tera chaman mein dahr ke har ja

na puchho koi aish-o-KHurrami ko ahd mein us ke
ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-saghar-e-sahba

arastu-jah wo farruKH-nazhad-e-ahl-e-alam hai
ki jis ke fazl-o-baKHshish ka jahan mein hai alam barpa

dua hai ye mawali ki tasadduq se aimma ke
rakhe sae mein apne lutf ke tujh ko ali maula

nahin kuchh zeb ai mehr-e-siphar-e-ma'adalat is mein
ayan 'chanda' pe jo kuchh hai nawazish ye karam-farma