اردو हिंदी
Rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar | Shaahi Shayari
rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

Ghazal

Rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

Ehsan Danish

;

rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar
wahi nikle sarir-ara qayamat mein KHuda ho kar

haqiqat-dar-haqiqat but-kade mein hai na kabe mein
nigah-e-shauq dhoke de rahi hai rahnuma ho kar

maal-e-kar se gulshan ki har patti larazti hai
ki aaKHir rang-o-bu uD jaenge ek din hawa ho kar

abhi kal tak jawani ke KHumistan the nigahon mein
ye duniya do hi din mein rah gai hai kya se kya ho kar

mere sajdon ki ya rab tishna-kaami kyun nahin jati
ye kya be-e'tinai apne bande se KHuda ho kar

sirisht-e-dil mein kis ne kuT kar bhar di hai betabi
azal mein kaun ya rab mujh se baiTha tha KHafa ho kar

ye pichhli raat ye KHamoshiyan ye Dubte tare
nigah-e-shauq bahki phir rahi hai iltija ho kar

bala se kuchh ho hum 'ehsan' apni KHu na chhoDenge
hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar