اردو हिंदी
Rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam | Shaahi Shayari
rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam

Ghazal

Rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam
han mere azm-e-jawan aur zara tez qadam

is andhere se na ghabra ki zara aur aage
hai charaghan ka saman aur zara tez qadam

kahin mayus na hona jo nigahon se abhi
un ki mahfil hai nihan aur zara tez qadam

ye yaqin hai ki pahunch jaenge un tak ek din
chaliye be-wahm-o-guman aur zara tez qadam

bujh na jaen rah-e-hasti mein tamanna ke charagh
KHwaja-e-rah-rawan aur zara tez qadam

kis bulandi pe rawan tum ho zamin ke zarro
hain sitare nigaran aur zara tez qadam

mil hi jaega kahin shahr-e-nigaran 'aKHtar'
ai parastar-e-butan aur zara tez qadam