اردو हिंदी
Raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi | Shaahi Shayari
raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi

Ghazal

Raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi

Allama Iqbal

;

raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi
fasana-ha-e-karamat rah gae baqi

KHarab koshak-e-sultan o KHanqah-e-faqir
fughan ki taKHt o musalla kamal-e-razzaqi

karegi dawar-e-mahshar ko sharmsar ek roz
kitab-e-sufi-o-mulla ki sada-auraqi

na chini o arabi wo na rumi o shami
sama saka na do aalam mein mard-e-afaqi

mai-e-shabana ki masti to ho chuki lekin
khaTak raha hai dilon mein karishma-e-saqi

chaman mein talKH-nawai meri gawara kar
ki zahr bhi kabhi karta hai kar-e-tiryaqi

aziz-tar hai mata-e-amir-o-sultan se
wo sher jis mein ho bijli ka soz o barraqaifi