raha gar koi ta-qayamat salamat
phir ek roz marna hai hazrat salamat!
jigar ko mere ishq-e-KHun-naba-mashrab
likhe hai KHudawand-e-nemat salamat
alarraghm-e-dushamn shahid-e-wafa hun
mubarak mubarak salamat salamat
nahin gar sar-o-barg-e-idrak-e-mani
tamasha-e-nairang-e-surat salamat
do-alam ki hasti pe KHatt-e-fana khinch
dil-o-dast-e-arbab-e-himmat salamat
nahin gar ba-kaam-e-dil-e-KHasta gardun
jigar-KHai-e-josh-e-hasrat salamat
na auron ki sunta na kahta hun apni
sar-e-KHasta dushwar-e-wahshat salamat
wafur-e-bala hai hujum-e-wafa hai
salamat malamat malamat salamat
na fikr-e-salamat na bim-e-malamat
ze-KHud-raftagi-ha-e-hairat salamat
rahe 'ghaalib'-e-KHasta maghlub-e-gardun
ye kya be-niyazi hai hazrat salamat
Ghazal
Raha gar koi ta-qayamat salamat
Mirza Ghalib