اردو हिंदी
Raha asir kai sal naqsh-e-pa ki tarah | Shaahi Shayari
raha asir kai sal naqsh-e-pa ki tarah

Ghazal

Raha asir kai sal naqsh-e-pa ki tarah

Rifat Sultan

;

raha asir kai sal naqsh-e-pa ki tarah
KHuda ka shukr ab aazad hun hawa ki tarah

mere habib mujhe izn-e-baryabi de
khaDa hun dar pe tere aah-e-na-rasa ki tarah

gunahgar hun ek main hi shahr mein shayad
ki baat karte hain sab mujh se parsa ki tarah

abhi mila nahin mujh ko suragh manzil ka
bhaTak raha hun abhi apne rahnuma ki tarah

kise KHabar ki ye jiddat hai ya siyasat hai
jafa kare bhi to karta hai wo wafa ki tarah

munafiqat ka naya hai ye dil-fareb andaz
mujhe mila mera dushman bhi aashna ki tarah

mere zamir ka ye hukm hai mujhe 'rifat'
rakhi hai main ne jo is daur mein wafa ki tarah