rah rah ke zabani kabhi tahrir se hum ne
qael kiya us ko isi tadbir se hum ne
kis samt liye jate ho aur kya hai irada
puchha na kabhi apne inan-gir se hum ne
dil par koi qabu na raha jab to kisi taur
bandha hai ye wahshi teri zanjir se hum ne
har bar madad ke liye auron ko pukara
ya kaam liya nara-e-takbir se hum ne
behtar hai ki ab kaam koi aur kiya kar
ye bhi na kaha katib taqdir se hum ne
apni hi karamat dikhate rahe sab ko
sarqa na kiya mojaza-e-'mir' se hum ne
taKHrib to karte rahe sau tarha ki lekin
ye kaam kiya jazba-e-tamir se hum ne
ab dekhiye kya is ka nikalta hai natija
matha hai lagaya hua tasir se hum ne
wo baam-e-tamasha hua ghaeb to 'zafar' aaj
laTka liya KHud ko kisi shahtir se hum ne
Ghazal
Rah rah ke zabani kabhi tahrir se humne
Zafar Iqbal