rah jae ya bala se ye jaan rah na jae
tera to ai sitam-gar arman rah na jae
jo dil ki hasraten hain sab dil mein hon to behtar
is ghar se koi bahar mehman rah na jae
iqrar-e-wasl to hai aisa na ho na aaen
mushkil hamari ho kar aasan rah na jae
ai soz-e-gham jala de ai dard KHun rula de
kuchh un ki dil-lagi ka saman rah na jae
sab manzilen huin tai mahshar hai aur ai dil
ye ek rah gaya hai maidan rah na jae
wo jam-e-kufr-parwar bhar de ki mast kar de
maston ke dil mein saqi iman rah na jae
aa kar palaT na KHali ai marg jaan le ja
'fani' ke sar pe tera ehsan rah na jae
Ghazal
Rah jae ya bala se ye jaan rah na jae
Fani Badayuni