اردو हिंदी
Rah gaya kam hi go safar baqi | Shaahi Shayari
rah gaya kam hi go safar baqi

Ghazal

Rah gaya kam hi go safar baqi

Salman Akhtar

;

rah gaya kam hi go safar baqi
dil mein KHwahish ka hai guzar baqi

kya nadi phir se aazmaegi
kya abhi aur hain bhanwar baqi

kya akele hi aage jaana hai
kya nahin koi ham-safar baqi

kya wo mujh se kabhi na bichhDega
kya nahin dil mein koi Dar baqi

kya nahin jaanta mujhe koi
kya nahin shahr mein wo ghar baqi