اردو हिंदी
Rah gai luT kar bahaar-e-zindagi | Shaahi Shayari
rah gai luT kar bahaar-e-zindagi

Ghazal

Rah gai luT kar bahaar-e-zindagi

Gopal Krishna Shafaq

;

rah gai luT kar bahaar-e-zindagi
zindagi hai sogwar-e-zindagi

meri nazron mein hasin dhoka hai ek
jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi

kulfaten kuchh talKHiyan kuchh hadse
ab yahi hai yaadgar-e-zindagi

miT raha ho jo kisi ke ishq mein
phir kahan us ko qarar-e-zindagi

teri ulfat tera gham tera KHayal
kuchh yahi hai karobar-e-zindagi

apna dil hi jab paraya ho gaya
kaun ho ab raaz-dar-e-zindagi

tere dam se thi bahaaron mein bahaar
ab kahan hai wo bahaar-e-zindagi

sukhe patton se ye kahti hai KHizan
yun utarta hai KHumar-e-zindagi

apne daman se hawa dete raho
bujh na jae ye sharar-e-zindagi

ai 'shafaq' kis ne bigaDa hai ise
kaun hai parwardigar-e-zindagi