rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin
lahuluhan hua hun magar Dara to nahin
nazar mein shaiba-e-KHauf kis liye aae
ye sail-e-jabr hujum-e-barhana-pa to nahin
khinchaw hota hai mahsus KHun ke qatron mein
ye ruh-e-asr kahin ruh-e-karbala to nahin
ajab tanaw hai mahaul mein kahen kis se
kahin pe aaj koi hadsa hua to nahin
labon pe harf-e-wafa hai to phir nigahon mein
ye KHauf kyun ho kahin koi dekhta to nahin
Ghazal
Rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin
Iftikhar Aazmi