اردو हिंदी
Rah-e-wafa mein unhin ki KHushi ki baat karo | Shaahi Shayari
rah-e-wafa mein unhin ki KHushi ki baat karo

Ghazal

Rah-e-wafa mein unhin ki KHushi ki baat karo

Abu Mohammad Wasil

;

rah-e-wafa mein unhin ki KHushi ki baat karo
wo zindagi hain to phir zindagi ki baat karo

fughan-e-nim-shabi zist tak rahe qaem
hayat soz-e-jigar hai isi ki baat karo

nizam-e-husn se waqif ho phir wafa kaisi
unhin pe miT ke nai zindagi ki baat karo

zaban-e-qal ko de kar sukut ka paigham
zaban-e-haal se paiham usi ki baat karo

karam hai un ka jo ho jae 'wasil'-e-jaanan
wahan KHudi ki na kuchh be-KHudi ki baat karo