rah-e-wafa ke har ek pech-o-KHam ko jaan liya
junun mein dasht o bayaban tamam chhan liya
har ek maqam se hum surKH-ru guzar aae
qadam qadam pe mohabbat ne imtihan liya
giran hui thi gham-e-zindagi ki dhup magar
kisi ki yaad ne ek shamiyana tan liya
tumhin ko chaha bahar-haal aur tumhaare siwa
zamin mangi kisi se na aasman liya
ba-ehtiyat chale rah-e-zindagi phir bhi
jagah jagah hamein gard-e-safar ne aan liya
wo but bhi dushman-e-iman-o-agahi tha magar
use jo dekha to hum ne KHuda ko man liya
Ghazal
Rah-e-wafa ke har ek pech-o-KHam ko jaan liya
Nikhat Barelvi