rah-e-ulfat mein yun to kaba-o-but-KHana aata hai
jabin jhukti hai lekin jab dar-e-jaanana aata hai
safar tai ho chuka shayad dar-e-jaanana aata hai
ki dil su-e-jabin sajde ko be-tabana aata hai
teri ummid-e-wasl-e-hur hai ek zohd par mabni
magar waiz mujhe har shewa-e-rindana aata hai
hansi aae tujhe ya nind lekin aah mujh ko to
bas ai be-gana-e-dard ek hi afsana aata hai
dil ujDa jab to phir baqi kahan duniya mein aabaadi
nigahen jis taraf uTThin nazar virana aata hai
hamesha hasb-e-istedad hai faizan-e-qudrat bhi
bahaar aai chaman mein dasht mein diwana aata hai
Thikana phir gham-e-duniya ne paya baad muddat ke
ki apne hosh mein phir 'mani'-e-diwana aata hai
Ghazal
Rah-e-ulfat mein yun to kaba-o-but-KHana aata hai
Mani Jayasi